![]() |
|
|
#1
|
|||
|
|||
|
Jab yakeen hi uth gaya hai khud ke upar se
Toh kadam ladkhadeyein bhi toh kya tazoob hai Jab zameen hi khisak gayi pairon ke tale se Toh koi gir bhi padey toh kya tazoob hai Jab pankh hi kat gaye sapnon ke Toh udaan na bhari toh kya tazoob hai Jab saath hi chhoot gaya sahil ka Toh safar adhuri reh gayi toh kya tazoob hai Jab armaan hi dum tod diye intezaar mein Toh waqt ruk gaya toh kya tazoob hai Jab khud ko pehchan ne me hi hua dhoka Toh nishana chook gaya toh kya tazoob hai Jab bhari mehfil mein bhi ruswai mili Toh ruh akela hai toh kya tazoob hai Jab aks ne bhi zism ka saath na diya Toh ishq bewafa hua toh kya tazoob hai Jab karwat modne pe hi badle insaan rangat Toh rahgir raah chhod de toh kya tazoob hai Jab aaina mein apni surat hi hai gumshuda Toh pehchhan kho gayi toh kya tazoob hai Jab ashqon ne hi lagai hai dil mein aag Toh khwahish raakh hue toh kya tazoob hai Jab aanso'on se afsana hi mit jaaye Toh yaad khaak hue toh kya tazoob hai Jab badey badey iss zung mein haar gaye Toh koi qayar baney toh kya tazoob hai Jab alfaazon ke alawa koi saath na diya Toh hum shayar baney toh kya tazoob hai !!!! |