![]() |
|
|
#1
|
|||
|
|||
|
Har mulaqat pe nigaheyin meri faryaad karti yahi
Ek palat nazar se dekhlein woh kabhi Aur woh bin dekhe hi andekha kar jaati hain Reh jaati hain meri tamannayein dil mein dabi.... Kya samjhengi woh iss dil ki dard ko Khoyee jo hain woh apne hi jahaan mein Kya mehsoos hogi unko meri tadap Shamil jo hain woh iss duniya ki mehfil mein..... Na khud samjhe na samjha sakey hum unhe Na paaye kabhi na kabhi kho sake unhe Yeh bekhudi toh rab bhi na jaaney Iss dil ka nazrana na dila sakey hum unhe.... Shadeyein dil ki sune bhi toh woh sunegi kaise Khayalon mein unke toh iss dil ka jikr tak nahin Meri khawhishon ka janaza bhi nikal gaya Aur unko toh hamari fikr tak nahin.... Na koi shikwa hai aur na shiqayat hai Chhod unhe na koi doosri chhahat hai Bas wohi meri safar hai, wohi meri manzil hai Wohi khuda hai, wohi meri ibadat hai.... |