![]() |
|
|
#1
|
|||
|
|||
|
Woh kaunsa lamha tha jo gujar gaya
Ek lamha kya gujra, ek zamana gujar gaya Zindagi toh khatm ho gayi, lekin maut na aayi Ek pal mein hi mera fasana gujar gaya Beeta hua kal haseen toh nahin tha Aaj jitna gham hai, kal kuchh kam toh nahin tha Tanhai aaj bhi hai, tanhai kal bhi toh tha Woh aaj nahin, woh kal bhi toh nahin tha Ab khuda se bhi kya shiqayat karoon, yeh galati uski nahin Zamaaney se bhi kaise moohn modoon, itni meri haisiyat nahin Karoon bhi toh unse nafrat kaise karoon Aks se nafrat karna toh zism pe jachti nahin.. |