![]() |
|
|
#1
|
|||
|
|||
|
Judaai ke yeh lamhe kitne ajeeb hai
Tu door ho ke bhi mere kareeb hai Hum ek hokar bhi anjaan hai ek dooje se Yeh kaise hamare naseeb hai Teri qurbat mili ..Magar tera sahara na milaa.. Kareeb pahunch kar bhi sahil ka kinara na mila.. Dekhta raha gaur se main hatheli apniii Magar mujhay apni kismat ka sitara na mila... Yaado main kabhi aap bhi khoye honge Khuli aankho se kabhi aap bhi soye honge Maana hasna hai aadat ghum chupaane ki Par haste haste kabhi aap bhi roye honge Rooth gaya hai mujhko manane wala Ab koii nahi hai nakhre uthane wala Par jaane kyu sochta hai ye khula darwaza Shayad rasta bhool gaya hai aane wala Ansoon ko aankhon ki dehleez par laya na karo... Apne dil ki haalat kisi ko bataaya na karo... Duniya kisi ke zakhm nahi samjhti hai... Apne zakhm kisi ko dikhaaya na karo ---------- - Chahat A nice collection of love sms jokes: http://www.SMSFunOnline.com |