![]() |
|
|
#1
|
|||
|
|||
|
Dard-e-tanhai
Aao lay jao meray dil kay khazanay SeeNch daalo yeh apnay gulshan veeranay TanhaaioN ka zehar piya hai is amrit kay liyay TaNz-o-fiQroN maiN jiya hai is amrit kay liyay Barti gayi,barti gayi aur talaash tab junoon ho gayi Meri deewanagi mehfiloN maiN haNsi ka majmoon ho gayi Ukta kay uth gaya har aashna kareeb say Aur ziNdagi ruk gayi us maNzar ajeeb pay Ik taraf urnay ki lalak Ik taraf zameeN ki pakar Ik taraf nai duniya ka shouq Ik taraf ajnabiyat ka khauf Magar phit khudi nay behoshi ki aakhri zaNzeer bhi tor di ParoN maiN apnay hosh ka dum bhar,aasmanoN say hor li Nigaah phir uth gayi jeet haar kay sawaal say Ufaq dar ufaq barta gaya noor hosh kay jamaal say Phir dil dil lay kar gaya yeh wusat-e-ahsaas Behosh sab hujoom thay laut aayaa maiN udaas TanhaaioN maiN magar ab bhi Umeed ki lau jalti hai. --------------------- Ashna-parichit,known,Ufaq-khistij,horizon,Noor-raushni,light,wusat-e-ahsaas-ahssasoN ki vishalta |